Why lord krishna didn t marry radha in hindi?

ricky boy

Active member
Joined
Jun 1, 2019
Messages
1,571
Reaction score
0
Points
36
Ek baar ek Bhakat Vishnu Bhagwan ki ghor tapasya Karta hai jisse Bhagwan Vishnu prasan ho kar us bhakat ko darshan dete hai. Bhagwan Vishnu apne us bhakat se koi vardaan ke liye puchte hai. Tab bhakat maangta hai ki wo devi Lakshmi ko apni patni ke roop me dekhna chahta hai. To Bhagwan Vishnu use kehte hai ki agle janam me devi Lakshmi ki shaadi usse hogi. Agle janam me devi Lakshmi Radha ke roop me janam leti aur Bhagwan Vishnu ke vardaan ko pura karne ke liye us bhakat (Ayan) se shaadi kar leti hai par kabhi wo ek nahi ho pate kyuki us bhakat ka janam ek hijde ke roop me hota hai. Is tarah bhagwan Vishnu ka vardaan pura hota hai and Radha aur Krishna shaadi nahi kar pate. Par Radhe aur Krishna humesha ek hi sath puje jate hai, ek sath unka naam liya jata hai.
 

Similar threads


Top